sahra mein jo hum aakar thahre hain to dar kya hai hum khana-ba-doshon ka saman-e-safar kya hai kohre ka sa ek aalam aata hai nazar hum ko wadi-e-shab-e-gham mein kya jaane kidhar kya hai mehr-o-mah-o-anjum se aage hai teri manzil malum nahin tujh ko parwaz-e-bashar kya hai ye silsila yaadon ka wo qafila jalwon ka tariki-e-shab kya hai aur nur-e-sahar kya hai aashufta-mizaji ka kya us se karen shikwa diwane ko khud apni haalat ki khabar kya hai jhute hain sabhi rishte kya in ka yaqin 'ahmad' aalam hai sarabon ka aur pesh-e-nazar kya hai