ye ahd kar ke nikalna bahut zaruri hai safar mein samt badalna bahut zaruri hai zamin ki kokh use banjh kar gai warna chaman ka phulna phalna bahut zaruri hai faqih-e-shahr ye zulmat pasandiyan kab tak mizaj-e-shahr badalna bahut zaruri hai ajib log hain khud-kar daeron ke asir hadon se un ki nikalna bahut zaruri hai shikasta azm ki diwar dhah na jae kahin qadam qadam pe sanbhalna bahut zaruri hai tamam umr tajassus pe inkishaf hua khuda ke hukm pe chalna bahut zaruri hai ye irtiqai andheron ka ahd hai 'nashtar' charagh-e-fikr ka jalna bahut zaruri hai