sahra-o-dasht-o-sarw-o-saman ka sharik tha wo dard ki dawa tha dukhan ka sharik tha wo kya samajh sakega mere ishq ka maqam jo ruh ke safar mein badan ka sharik tha dekhi na hum ne jis ki jabin par kabhi shikan wo dil ki ek ek chubhan ka sharik tha ek lamhe ko wo aaya tasawwur mein to laga jaise wo sare din ki thakan ka sharik tha khamoshiyon se aaj hain hum mahw-e-guftugu wo sath hi nahin jo sukhan ka sharik tha allah us charagh ko raushan rakhe sada jo tirgi mein pahli kiran ka sharik tha sairab kar gaya kisi aangan ko jo 'adil' wo meri pyas meri ghutan ka sharik tha