rah-e-khizan mein talash-e-bahaar karte rahe wo ek tarfa sahi tum se pyar karte rahe hai kya tamasha udhar ranjishen hi badhti rahin talluqat hamin ustuwar karte rahe guzar gai jo ghadi laut kar na aai kabhi talash-e-sham-o-sahar bar bar karte rahe tumhaari chah mein jitne bhi zakhm hum ko mile mohabbaton mein hum un ka shumar karte rahe teri ana pe hamein ikhtiyar hi kab tha tamam umr tera intizar karte rahe 'adil' log gharon ko sajae baithe hain farogh-e-husn faqat barg-o-bar karte rahe