sahra pe nur utar raha tha suraj haya se mar raha tha pani bhi ro pada tha us dam pani bhi girya kar raha tha har aankh zakhm dho rahi thi har zakhm bain kar raha tha sajde tera nasib hae neze pe ek sar raha tha dariya ka pani jab hua khushk sahra lahu se bhar raha tha aks-e-‘dua’-e-khair chamka dil harf harf bikhar raha tha