wahima kyon mujhe ye khas hua koi mujh mein hai bad-hawas hua main use yaad hi nahin aati bas ye socha to dil udas hua main ne har dam wafa nibhai to bewafa kyon mera libas hua wo ghamon ki hui farawani dard bhi waqif-e-hiras hua na thaharna tha wo nahin thahra dil bahut harf-e-iltimas hua garche nazron se bhi raha ojhal par 'dua' mere aas-pas hua