sahra se wapas aae hain dube hain pyas mein bhar do samundaron ko hamare gilas mein dil mein khayal-e-khak-e-tamanna liye hue leta hua hai kaun ye maile libas mein maujon ka lahja dekh ke mahsus ye hua dariya nahin hai aaj to hosh-o-hawas mein apne hasin khwab ki tamir ke liye becha hai khud ko main ne mahajan ke pas mein 'anwar' mata-e-dard ki tarikiyan liye aaya hai kitni dur ujalon ki aas mein