mauja-e-reg-e-rawan-e-gham mein bah ke dekhna muflisi mein doston ke sath rah ke dekhna daman-e-izhaar mein jazbe sama sakte hain nahin baat phir bhi baat hai ek bar kah ke dekhna khud ko mitti ka gharaunda farz hi karna nahin aandhiyon ki zad mein rahna aur dhah ke dekhna dil ke sannate mein khushbu ke dariche khul gae dastakon ke phul darwaze pe mahke dekhna kasa-e-fitrat mein phir khwahish ke sikke baj uthe phir parinde sans ki dali pe chahke dekhna be-asar hi kyun na ho par apni zati soch ho dosto takhliq-e-fan ka karb sah ke dekhna baadshahat ke maze hain khaksari mein 'salim' ye nazara yar ke kuche mein rah ke dekhna