sahraon mein dariya bhi safar bhul gaya hai mitti ne samundar ka lahu chus liya hai duniya ki malamat ka bhi ab khauf hai dil ko khashak ne maujon ko giraftar kiya hai manzil hai na jada hai na saya hai na pani tanhai ka ehsas faqat rah-numa hai suraj bhi pada rota hai ek gahre kuen mein barson hue aakash bhi dhundlaya hua hai bichhde hue khwab aa ke pakad lete hain daman har rasta parchhaiyon ne rok liya hai kirnon se tarasha hua ek nur ka paikar sharmaya hua khwab ki chaukhat pe khada hai phulon se ladi tahniyan phailae hain banhen khushbu ka badan khak mein pamal pada hai diwar-o-dar-e-shahr pe hain khun ke dhabbe rangon ka hasin qafila sahra mein luta hai