safar hi baad-e-safar hai to kyun na ghar jaun milen jo gum-shuda rahen to laut kar jaun musalsal ek si gardish se hai qayam achchha zamin thahre to main bhi kahin thahar jaun sametun khud ko to duniya ko hath se chhodun asasa jama karun main to khud bikhar jaun hai khair-khwahon ki talqin-e-maslahat bhi ajib ki zinda rahne ko main jite-ji hi mar jaun saba ke sath mila mujh ko hukm-e-dar-ba-dari gulon ki zid hai mizaj un ka puchh kar jaun meri udan agar mujh ko niche aane de to aasman ki gahrai mein utar jaun wo kah gaya hai karun intizar umr tamam main us ko dhundne niklun na apne ghar jaun kahan uthae phirun bojh apne sar ka 'wahid' ye jis ka qarz hai us ke hi dar pe dhar jaun