sahraon mein ja pahunchi hai shahron se nikal kar alfaz ki khushbu mere honton se nikal kar sine ko mere kar gaya ek aan mein raushan ek nur ka kaunda teri aankhon se nikal kar main qatra-e-shabnam tha magar aaj hun suraj aa baitha hun main sadiyon mein lamhon se nikal kar ho jaenge basti ke dar-o-baam munawwar suraj abhi chamkega darichon se nikal kar kya jaaniye ab kaun si jaanib ko gaya hai ek zard sa chehra teri galiyon se nikal kar har samt tha ek talkh haqaeq ka samundar dekha jo tasawwur ke jaziron se nikal kar wo pyas hai mitti pe zaban pher rahe hain hum aae hain ehsas ke shoalon se nikal kar har aan sada dete hain masum ujale 'betab' chale aao dhundlakon se nikal kar