sail-e-bala-e-gham na puchh kitne gharaunde dah gae naw to khair naw thi sath kinare bah gae dil mein hujum-e-shauq tha lab pe na baat aa saki abr falak pe khul gae bij zamin pe rah gae kis mein thi tab-e-zakhm-e-shauq kis mein tha gham ka hausla hum hi ye dukh utha gae hum hi ye dard sah gae ham-safaran-e-shauq ne rah mein haar man li dasht-e-shab-e-firaq mein hum hi akele rah gae 'mohsin'-e-be-nawa ko bhi dad-e-kamal dijiye wo bhi hadis-e-dard-e-jaan apni ghazal mein kah gae