tirgi nam hai dil walon ke uth jaane ka jis ko shab kahte hain maqtal hai wo parwane ka chal bayaban ki taraf ji nahin ghabrane ka ruh-e-majnun se ghar aabaad hai virane ka dida-e-dost teri chasm-numai ki qasam main to samjha tha ki dar khul gaya maikhane ka dam-e-akhir ki mulaqat mein kya tum se kahun waqt hi tang bahut hijr ke afsane ka daman-e-shama pe dhabba na raha wah re ishq khun ab tak nazar aaya nahin parwane ka tang hai sehn-e-jahan sath na le bar-e-amal rasta milta hai mushkil se guzar jaane ka gul-o-ahu chaman-o-dasht mein kah jate hain kuchh kahin mauqa nahin ai dil tere bahlane ka roke jate hain rah-e-dost ke chalne wale wahi dushman hai jo hamdard hai diwane ka qabr wale mue mamnun-e-ziyarat lekin nam badnam kiya aap ne virane ka hijr ne kaun sa paiwand laga rakkha tha rasta mil gaya khanjar ko guzar jaane ka to shab-e-gham ko na samjha ho to main samjha dun wahi maidan-e-shahadat tere parwane ka qissa-e-bagh hai aur meri masarrat ki umid dhang aata nahin sayyaad ko bahlane ka bazm-e-rangin mein teri zikr-e-gham aaya to sahi khush rahe chhedne wala mere afsane ka aashiyan aabla-e-bagh hai ai sokhta-dil ek nishan chhod chala hun tere jal jaane ka ibrat-e-aql hai waraftagi-e-ahl-e-mazaq hosh walon mein hai charcha tere diwane ka hasb-e-farmaish-e-gardish hain gharibon ke mazar aasman dost hai manzar mere virane ka hissa-e-bakht ka mane hai yahi daur-e-falak badh gaya ghum ke rasta mere paimane ka ho gaya gharq sar-e-shoala-e-sham-e-mahfil khun uncha hua utna kisi parwane ka naza ke waqt jo kahta hun wo samjhe ki nahin bab-e-awwal to yahin khatm hai afsane ka le pareshani-e-dil ab hai teri umr daraaz waqt khinchne laga zulfon ke sanwar jaane ka chot khane se dabi aag ubhar aai hai rang badla hai mere dil ne sanam-khane ka dagh-e-dil qabr ki zulmat mein hai be-nur aisa jaise dekha ho charagh aap ne virane ka husn aur ishq ke nairang khuda hi jaane shama jalti hai ki dil jalta hai parwane ka dekh khun-e-sar-e-farhad ka rangin patthar ye nagina hai banaya hua diwane ka naza ek id hai rote hue wo aae hain ai dil-e-zar yahi waqt hai mar jaane ka ahl-e-dil jagte-sote mein suna karte hain waqt koi nahin 'saqib' mere afsane ka