sail-e-khun paikar-e-ashaar mein dhalta hi nahin gham wo lawa hai jo sine se ubalta hi nahin aaine lakh magar ek si taswiren hain kis ko dekhun main koi shakl badalta hi nahin jo bhatakta tha kabhi dhup ke sahraon mein ab wo saya meri chaukhat se nikalta hi nahin koi tahrir mitaen to dhuan uthta hai dil wo bhiga hua kaghaz hai ki jalta hi nahin mujh se munh pherne wale meri qimat pahchan main wo sikka hun jo bazar mein chalta hi nahin kaun chhinega meri soch ki daulat 'rashid' jism ka bojh to logon se sambhalta hi nahin