sailab ka guzar bhi to logon ki maut hai dariya ka banjh-pan jahan nahron ki maut hai kuchh bhi to kahna ru-ba-ru bahron ke hai fuzul jaise khala mein chikhna chikhon ki maut hai rasta sadak talak na musafir ko den agar mere khayal mein to ye galiyon ki maut hai aankhon se nind ke sabhi aasar gum-shuda shab bhar hamara jagna khwabon ki maut hai mahaul ki hifazaten lazim hain dosto titli ki maut asl mein phulon ki maut hai barish ho dhup mein ki dhanak aasman pe ho aankhen na hon to ye bhi nazaron ki maut hai bikhre pade hain ja-ba-ja kitne hi khal-o-khad yani ki tuta aaina chehron ki maut hai be-shak fasil ji uthi gare ke war se lekin 'zaman' ye to daradon ki maut hai