tere aangan mein hai jo ped phulon se lada hoga tere ghar ka jo rasta hai bada hi khushnuma hoga gawara kab mujhe hoga kisi ehsas ka dhona hai qarza is janam ka is janam mein hi ada hoga na jaane kab mere bhaarat mein wo sarkar aaegi ki jis sarkar ke hathon gharibon ka bhala hoga wo lamhe zindagi ke jo tere ham-rah guzre hain unhin ki yaad se jiwan bada zaiqa hoga jo dard-e-dil ata karta hai sab ko us se puchhenge dawa-e-dard-e-dil bhi koi aakhir bechta hoga charagh-e-dil jala rakkha tha aab-o-tab se hum ne hawa-e-gham chali hogi tabhi to ye bujha hoga