sair-e-bazar-e-jahan karte hue hum ko chala dil ki qimat ka pata phul ki arzani se kin sitaron ne jaden pakden sifal-e-nam mein shab-gazidon ki samawat mein gul-bani se qafile misl-e-saba dil se guzar jate hain kaun milta hai bhari bhid mein aasani se ghar ke hote hue hum aise safar-bakht-nujum milte aae hain bahut be-sar-o-samani se