wasl mein bhi hijr ko mahsus kar ke aa gae hum dil lagane ko gae the aankh bhar ke aa gae hum tutna phir aankh bharna kar rahe hain hum musalsal maut se pahle hi kitni bar mar ke aa gae hum bazm mein puchha kisi ne bewafa ka nam kya hai aur us ke nam se diwar bhar ke aa gae hum baat hai mear ki to mai-kade jate nahin hain par nashe mein hain nasha ulfat ka kar ke aa gae hum masala karne laga tha dil bhulane mein use tab hath pakda aur dil hathon mein dhar ke aa gae hum