sair karte use dekha hai jo bazaron mein

sair karte use dekha hai jo bazaron mein
mashware hote hain yusuf ke kharidaron mein

chahte hain ki koi ghairat-e-yusuf phans jae
kis qadar khote khare bante hain bazaron mein

do-qadam chal ke jo tu chaal dikha de apni
thokaren khate phiren kabk bhi kohsaron mein

khun-e-ushshaq se lazim hai ye parhez karen
ki shumar aap ki aankhon ka hai bimaron mein

shaikh-e-kaba ho diya barhaman-e-but-khana
ek hi ke dar ye donon hain parastaron mein

dekhiye kitne kharidar hain kya uthna hai
jins dil bhej ke un ko koi hai bazaron mein

fasl-e-gul aai khizan bhi hue gulzar magar
tair-e-dil hai hunuz un ke giraftaron mein

sair ke waste nikla jo wo rashk-e-yusuf
band raste hue that lag gae bazaron mein

ye naya yar ki sarkar mein dekha insaf
be-gunah bhi gine jate hain gunahgaron mein

kahin dhunde se bhi milte the na arbab-e-kamal
jin dinon qadr-shanasi thi kharidaron mein

tegh-e-qatil ke gale milte hain khush ho ho kar
id-e-qurban hai mohabbat ke gunah-garon mein

kisi amn se na uljha na hui sohbat-e-gul
ai zaifi tan-e-zar apna hai un kharon mein

'qalaq' isbaat-e-dahan munh ko na khulwae kahin
hai badi baat agar baat rahi yaron mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close