saf baaton se ho gaya malum

saf baaton se ho gaya malum
hote ho matlab-ashna malum

kushta tegh-e-nigah se kijiyega
chashm-o-abru se ho gaya malum

ibtida ne mohabbat-e-dil ki
ye na thi hum ko intiha malum

kuchh dahan hi nahin hai wo napaid
kamar-e-yar bhi hai na-malum

dar tak us ke meri rasai ho
tujh se ai bakht-e-na-rasa malum

jab kaha roke tujh pe marte hain
hans ke bola wo but khuda-malum

mehrban aaj-kal hai wo be-mehr
us mein hoti hai kuchh dua malum

tum sukhan-saz ho bade ai jaan
tarz-e-taqrir se hua malum

jab muamme mein zikr-e-wasl kiya
bola matlab na kuchh hua malum

bad-guman dukht-e-raz se waiz ho
hum ko hoti hai parsa malum

le ke dil wo karega bedardi
ye na dhang us ka qabl tha malum

qabil-e-ishq ye hasin nahin
in dagha-bazon se wafa malum

jab kaha main ne o taghaful-kesh
haal hai mere ishq ka malum

misl-e-aina hairati hun qadim
bola lakhon hain aise kya malum

han magar hum ko dekha to hai kahin
hote ho surat-ashna malum

sabiqa jab tak ai 'qalaq' na pade
haal insan ka ho kya malum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close