sairab aab-e-ju se qadah aur qadah se hum sar-khush gulon ki bu se qadah aur qadah se hum mukhde pe hai gulal jo us mast-e-naz ke rangin hai aks-e-ru se qadah aur qadah se hum pir-e-mughan karam hai jo sairab ho sake tere nam-e-wazu se qadah aur qadah se hum bazm-e-sharab raqs ki majlis se kam nahin nache hai parmalu se qadah aur qadah se hum halqe nahin ye zulf mein saqi ki balki hai wabasta mu-ba-mu se qadah aur qadah se hum hurmat likhi sharab ki yan tak ki khinch raha zahid ki guftugu se qadah aur qadah se hum shisha jo phut jae to phute wale na ho ya-rab juda subu se qadah aur qadah se hum wo tafraqa pada ki bahut dur rah gaya dast-e-piyala-ju se qadah aur qadah se hum ai 'mushafi' hamein to gawara nahin ye nish nosh us ke lab se chuse qadah aur qadah se hum