ye dil-e-nadan hamara bhi ajab diwana tha us ko apna ghar ye samjha tha jo mehman-khana tha the jo begane yagane un ko ginta tha ba-jaan is qadar ghaflat mein aql-o-hosh se begana tha le liya mani ko aur surat ko jaana be-sabaat ghaur se dekha to aalam mein wahi farzana tha kya gham-e-asbab zahir ka na ho jis ko qayam chashm-e-mani-bin mein yaksan hai agar tha ya na tha kahte hain ahd-e-salaf mein tha koi aisa makan qita-e-khuld us ka ek ek kunj aur kashana tha pur-safa o pur-ziya o pur-nigar o pur-bahaar zeb se sau sau tarah us mein jo shakh aur shana tha lahza lahza aish-o-ishrat dam-ba-dam raqs-o-surur girya-e-mina o yaksar khanda-e-paimana tha malik us ka jab wo pusht-e-baam par phirta tha shad kya kahun kya kya use naz-e-sar-afraazana tha tha jahan ye kuchh ayan wan inqalab-e-daur se yak mizha barham zadan mein kuchh na tha virana tha wan tinis-e-yak-magas aae na hargiz gosh mein jis jagah shor-e-qayamat saz-e-naubat-khana tha wan nazar aaya na hargiz para-e-sang-e-siyah jis jagah lal-o-gohar se pur jawahir-khana tha khub jo dekha 'nazir' in raftagan ka majra bahr-e-khauf-o-ibrat-e-aindagan afsana tha