saja ke zehn mein kitne hi khwab soe the khuli jo aankh to khud se lipat ke roe the chahaar samt bas ek be-karan samundar hai bataen kya ki safine kahan duboe the tahon mein ret ubalti hai kya pata tha hamein zamin samajh ke zaminon mein bij boe the siyah raat mein bachche ki tarah chaunk pade tamam din jo ujalon se lag ke soe the ajib baat hamara hi khun hua pani hamin ne aag mein apne badan bhigoe the hamare hath se wo bhi nikal gaya aakhir ki jis khayal mein hum muddaton se khoe the