ghar mein hun go hunut-shuda lash ki tarah phirti hai ruh shahr mein obash ki tarah bazicha-e-faraina-e-misr dekhna hum aahani giraft mein hain tash ki tarah ye jaan-e-na-tawan bhi hai kya samra-e-hayat rakh di gai hai kat ke ek qash ki tarah sukh ki zamin basit nahin hai to kya hua dukh to mera wishaal hai aakash ki tarah shayad mera wajud hi pasmanda khak ho khali hai bazm-e-yar mein qallash ki tarah khinchta chala hun main kisi patal ki taraf har anjuman hai markaz-e-purkhash ki tarah sau bar maskh ho ke bhi tamir-e-zindagi pur-nur hai manara-e-zau-pash ki tarah baqi hai hum se daman-e-roz-e-jaza ki laj go zindagi ata hui padash ki tarah