sajan mujh par bahut na-mehrban hai kahan wo aashiqan ka qadar-dan hai kahun ahwal dil ka us ko kyunkar bahut nazuk-mizaj o bad-zaban hai mera dil band hai us naznin par ajab us khush-liqa mein ek aan hai bhawan shamshir hain o zulf phansi har ek palak us ki manind-e-sinan hai khuda us ko rakkhe duniya mein mahfuz nihaal-e-arzu aaram-e-jaan hai chandr be-waqar hai us badr aage safa us mukh ki har ek par ayan hai samajhta hai tere ashaar 'faez' khuda ke fazl sun wo nukta-dan hai