hujra-e-zat se bahar to nikal kar dekho tum kisi dusre paikar mein bhi dhal kar dekho kya ajab tum ko hi ye ham-safari ras aa jae do qadam hi sahi tum sath to chal kar dekho han ye dastar-e-fazilat bhi qaba-e-zar bhi khud ko dekho to ye poshak badal kar dekho mausam-e-hijr koi rut hai na kuchh aab-o-hawa ek taqaza hai ki phir ghar se nikal kar dekho mat ho jae magar hausla-e-dil ke liye aakhiri chaal jo baqi hai wo chal kar dekho