sajda-gah-e-ahl-e-dil baad-e-fana ho jaiye

sajda-gah-e-ahl-e-dil baad-e-fana ho jaiye
safha-e-hasti pe ek naqsh-e-wafa ho jaiye

pa-e-khud-rafta bhi hasil zauq-e-behad bhi nasib
rahnuma kyon dhundiye khud rahnuma ho jaiye

shama-surat ek din jalna hai apni aag mein
lazzat-e-soz-e-darun se aashna ho jaiye

bandish ranj-o-alam fikr-e-ajal qaid-e-hayat
dars-e-ulfat lijiye sab se riha ho jaiye

jazba-e-ulfat ki qimat donon aalam bhi nahin
dijiye dil be-niyaz-e-muddaa ho jaiye

zindagi wo hai karen wo jis pe takmil-e-sitam
yun basar kije ki un ka muddaa ho jaiye

kuchh na hone par jahan ko dard-e-ibrat dijiye
khalq mein ek paikar-e-ibrat-numa ho jaiye

mil hi jaegi kahin 'hirman' faza-e-pur-sukun
is jahan aab-o-gil se to juda ho jaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close