sajde mein rahe kyun koi banda mere aage

sajde mein rahe kyun koi banda mere aage
jo hai mere pichhe wahi hota mere aage

lagta hai ki chhod aaya hun manzil kahin pichhe
chalta hai musalsal yunhi rasta mere aage

hum do hi musafir hain khizaon ke hawa mein
ek main hun aur ek zard wo patta mere aage

sajde ka main paband hua hun yahan aa kar
jhukta tha wahan par to farishta mere aage

main zeb raha hun kabhi yusuf ke badan par
kya chiz bhala dast-e-zulekha mere aage

ek hath mein kashkol hai duje mein taraazu
aise mein bhala kaun thaharta mere aage

jine ko to kuchh aur bhi ji len yahan lekin
hona hai yahi khel tamasha mere aage

kuchh aise bhi sajdon ka sharaf hai mujhe hasil
kaba jo tha pichhe wahi kaba mere aage

ek khauf tha 'rukhsar' ki ghaalib ki zamin hai
tham tham ke har ek sher yun utra mere aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close