hamein jab apna taaruf karana padta hai na jaane kitne dukhon ko dabana padta hai ab aa raha ho koi jism is tasawwuf se to hum ko halqa-e-baiat badhana padta hai kisi ko nind na aati ho raushni mein agar to khud charagh-e-mohabbat bujhana padta hai bahut ziyaada hain khatre badan ki mahfil mein par apni ek hi mahfil hai jaana padta hai khuda hai qadir-e-mutlaq ye baat khulti hai tab jab us se kaam koi kafirana padta hai bahut ziyaada khushi se wafat pa gaya ho to aise dil ko dukha kar jilana padta hai hamare pas yahi shairi ka sikka hai ulat-palat ke isi ko chalana padta hai suna hai tum mere dil ki taraf se guzre the isi taraf to mera karkhana padta hai ajib tarz-e-taghazzul hai ye miyan 'ehsas' ki jism-o-ruh ko ek sur mein gana padta hai