sajdon ki rasm-e-kohan ko hosh ganwa ke bhul ja sang-e-dar-e-habib par sar ko jhuka ke bhul ja ishq ko barqarar rakh dil ko laga ke bhul ja is se bhi mutmain na ho us ko bhi pa ke bhul ja dil se tadap juda na kar saz ko be-sada na kar dard jo ho fughan talab honth hila ke bhul ja dard uthe utha kare chot lage laga kare kuchh bhi ho tu ba-nam-e-dost hans ke hansa ke bhul ja jam-ba-dast-o-mai-ba-jam yun hi guzar subh-o-sham zist ki talkhiyan mudam pi ke pila ke bhul ja manzil-e-ishq se guzar be-khud-o-mast-o-be-khabar chot lage to uf na kar dil ko daba ke bhul ja guzre hue zamane ko yaad na kar kabhi 'khumar' aur jo yaad aa hi jae ashk baha ke bhul ja