andhe raston par phailaun hath kahan

andhe raston par phailaun hath kahan
mere nasibon mein taron ki raat kahan

dali dali jugnu aur sharare hain
resham ke kide ki ye auqat kahan

us se milen aur sukh-dukh ki baaten kar len
ek tariq pe rahte hain haalat kahan

raat hui aur nind jazire mein pahunchi
be-patwar ki kashti mein ye baat kahan

pichhla mausam be-samari mein bit gaya
agli rut mein hath aaenge pat kahan

ghar jaise phal phul kahan milte hain 'khumar'
ghar si neamat milti hai din raat kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close