sala-e-am-e-saqi hai ki aao ba-safa kar dun fana ki mai pila kar mast-o-madhosh-e-baqa kar dun tamanna-e-visal-e-yar hai tafrih-e-ruhani jo qabu ho to apni jaan-o-dil tum par fida kar dun meri rangin-bayani munhasir hai zikr-e-jaanan par mazamin marifat ke jis tarah chahe ada kar dun sitam hai sar jhuka kar muskura kar yar ka kahna mile khun-e-dil-e-ashiq to main tark-e-hina kar dun tumhin aaina-e-wahdat mein dekho shan-e-mahbubi main ai 'mahwi' ye uqda raaz ka kis tarah wa kar dun