zahir fareb nargis-e-mastana ho gaya kuchh hoshiyar ab dil-e-diwana ho gaya aansu bhare hain aankh mein us mast-e-husn ki labrez kis ki umr ka paimana ho gaya izhaar-e-arz-e-wasl ye baaten nahin wahan ek harf-e-muddaa unhen afsana ho gaya pahle kahan tha us dil-e-betab ka ye haal kambakht us ko dekh ke diwana ho gaya hamdam sharik koi bure waqt ka nahin jab dil sa dost ishq mein begana ho gaya ishq-e-butan mein khana-e-dil ka raha ye haal kaba bana kabhi kabhi but-khana ho gaya har mai-parast jama-e-ke-khusrawi mein tha labrez jab sharab se paimana ho gaya ki main ne arz-e-wasl to bole raqib se kya hoshiyar shakhs tha diwana ho gaya 'mahmud' hai buton se wafa ki tujhe umid patthar samajh pe pad gae diwana ho gaya