salib lad ke kandhe pe chal raha hun main hisar-e-zat se bahar nikal raha hun main hayat dhundhti phirti hai mujh ko sar-gardan adhura jism liye rukh badal raha hun main bana diya hai zamane ne mujh ko patthar sa ki zarb-e-tesha se aatish ugal raha hun main meri nigah mein duniya chita ki rakh si hai isi khayal ke shoalon mein jal raha hun main bula rahi hai mujhe apne ghar ki virani miyan-e-shor-e-salasil machal raha hun main zamana dhundega mujh ko dur-e-sadaf ki tarah ki bund bund samundar mein dhal raha hun main