'salim' dasht-e-tamanna mein kaun hai kis ka yahan to ishq bhi tanha hai husn bhi tanha bane wo baat ki ahl-e-wafa ke din phir jaen mizaj-e-yar ki surat badal chale duniya uda ke le hi gain bu-e-pairahan! tera subuk-khiram hawaon pe koi bas na chala mizaj-e-ishq ho manus-e-zindagi itna ki misl-e-khalwat-e-mahbub ho bhari duniya misal-e-subh meri khalwaton mein kaun aaya wo raushni hai ki palken jhapak rahi hai faza hamin pe jab na tawajjoh hui to hum ko kya bala se aap kisi ke liye hon qahr-o-bala wo tu hai yaad teri hai ki meri hasrat hai ye kaun hai mere sine mein siskiyan leta kudhe to apni jagah khush rahe to apni jagah 'salim' hum ne kisi se na kuchh kaha na suna