tujh ishq ke mariz ki tadbir shart hai lekin shifa ko gardish-e-taqdir shart hai saudai dil ko zulf-e-girah-gir shart hai diwane ke ilaj mein zanjir shart hai nale to mein bahut kiye us but ke samne patthar ke narm karne ko tasir shart hai ho khak rah-e-ishq mein ta-qadr ho teri mis ke tila banane ko iksir shart hai kafi hai ek ishaara-e-abru tera hamein kuchh aashiqon ke qatl ko shamshir shart hai dil ki shikast-o-rekht ki mere to le khabar har ghar ki der-pai ko tamir shart hai karta hai kis gunah pe uqubat hamein tu yar tazir ke to waste taqsir shart hai 'sauda' main is chaman mein hun jun ghuncha dil-giraft matam-sara mein surat-e-dil-gir shart hai