'salim' dil ko mayassar sakun zara na hua agarche tark-e-mohabbat ko ek zamana hua wo be-khudi thi mohabbat ki be-rukhi to na thi pe us ko tark-e-talluq ko ek bahana hua usi se dad ka talib hun ru-ba-ru jis ke bayan-e-dard-e-mohabbat bhi ek fasana hua wo chob-e-khushk hun mahrum-e-atish-e-sozan ki bin jalae jise qafila rawana hua nashat-e-dard mein fursat kahan ki ghaur karen 'salim' kya hua ulfat mein aur kya na hua