samajh ke zulm karo ai buto khuda bhi hai tumhaare jaur-o-jafa ki kuchh intiha bhi hai agar main jaunga puchhunga ye masiha se ki mere dard-e-jigar ki koi dawa bhi hai kabhi raha mere lab tak kabhi wahan pahuncha ye nala mera rasa aur na-rasa bhi hai fasana qais ka logon se sun liya hoga ye mera qissa-e-gham aap ne suna bhi hai musafiran-e-adam aae do-ghadi ke liye sara-e-dahr mein aa kar koi raha bhi hai tamasha dekhiye wo baad-e-qatl bhul gaya ki mere dar pe koi kushta-e-ada bhi hai jafa-o-jaur se un ke to ho gaya aajiz buton ke ishq ka is dil mein hausla bhi hai samajh ke khar-e-mughilan to sar utha apna ki rahrawon mein ek aashiq barhana-pa bhi hai safina bahr-e-musibat se par kar dega khuda samajhte ho jis ko wo nakhuda bhi hai uthao shauq se manzil mein tum qadam apne ki rahzan jo hai is mein wo rahnuma bhi hai nazar se shaikh ki chhup kar chala hun pine ko 'jamila' abr hai barish hai aur hawa bhi hai