zulf khole tha kahan apni wo phir bebak raat khud-ba-khud hota tha jun shana dil apna chaak raat barg-e-gul shabnam se tar mat jaaniyo ai baghban gul ne daman se kiye bulbul ke aansu pak raat shama raushan jun ki aati hai nazar fanus mein burqe mein tha jalwa-gar wo ru-e-atishnak raat mughbache ke chukne se ho gaya sara khalal the lagae warna rindan dukht-e-raz se tak raat tu ne bhariyan shoala-afshan aisi hi aahen 'raza' yar ke kuche ke jal gae sab khas-o-khashak raat