samajh liye bhi jo haalat kuchh nahin hoga bahut andheri hai ye raat kuchh nahin hoga kise padi hai ki bahte gharon ki fikr kare bahut gudaz hai barsat kuchh nahin hoga ye jism tut ke hisson mein batne wala hai phir is pe apni riwayat kuchh nahin hoga hamare samne hum hain ladai kis se karen jo ho gai bhi tumhein mat kuchh nahin hoga bas ek bar badalna hai aur phalna hai hazar bar shikayat kuchh nahin hoga samaaton mein bhi dar aae hain tere manzar sunai deti hain aayat kuchh nahin hoga samay kathin hai safar dur ka hai mil jao karoge kitne sawalat kuchh nahin hoga phir aaj dusre sehnon mein phal gire apne phir aaj marg-e-mufajat kuchh nahin hoga bas ek waqfa sahar ka ufuq ke zine par tawil qissa-e-zulmat kuchh nahin hoga