samajh rahe hain magar bolne ka yara nahin jo hum se mil ke bichhad jae wo hamara nahin abhi se barf ulajhne lagi hai baalon se abhi to qarz-e-mah-o-sal bhi utara nahin bas ek sham use aawaz di thi hijr ki sham phir us ke baad use umr bhar pukara nahin hawa kuchh aisi chali hai ki tere wahshi ko mizaj-pursi-e-baad-e-saba gawara nahin samundaron ko bhi hairat hui ki dubte waqt kisi ko hum ne madad ke liye pukara nahin wo hum nahin the to phir kaun tha sar-e-bazar jo kah raha tha ki bikna hamein gawara nahin hum ahl-e-dil hain mohabbat ki nisbaton ke amin hamare pas zaminon ka goshwara nahin