justuju khoe huon ki umr bhar karte rahe chand ke hamrah hum har shab safar karte rahe raston ka ilm tha hum ko na samton ki khabar shahr-e-na-malum ki chahat magar karte rahe hum ne khud se bhi chhupaya aur sare shahr ko tere jaane ki khabar diwar-o-dar karte rahe wo na aaega hamein malum tha is sham bhi intizar us ka magar kuchh soch kar karte rahe aaj aaya hai hamein bhi un udanon ka khayal jin ko tere zoam mein be-baal-o-par karte rahe