samajh saka na koi aaj tak ki kya hun main hawa ke dosh pe jalta hua diya hun main wajud hoga mujassam mera kabhi na kabhi abhi to teri faza mein bikhar raha hun main ye kaise kah dun ki pahchanta bhi hun us ko wo jis ko ek zamane se jaanta hun main dua qubul hui iztirab baqi hai yahi bahut hai ki kuchh kaamyab sa hun main na jaane kab main kinare pe ja lagun 'jawed' sawar naw pe hun aur dubta hun main