samajh saka na koi raaz-e-husn begana juz in niyaz-pasandi-e-qalb-e-diwana ye chandni ye faza ye hawa-e-mai-khana dawam ho to mile mujh ko ek paimana teri nigah ki tausif ho rahi hai magar meri hi tishna-labi bhar rahi hai paimana jahan pahunch na saka koi jazba-e-muhtat wahan gaya hai mera zauq-e-sarfaroshana nahin hai sarmad-o-mansur par hi khatm junun mujhe bhi logon ne aksar kaha hai diwana shikayat-e-gham-e-dil ko zaban nahin khulti ki is nigah ke andaz hain karimana tamam bazm mein ek hum khamosh baithe hain suna rahe hain sabhi tujh ko tera afsana yaqin rakh ki teri anjuman se hum bhi kabhi teri hi tarah se guzrenge be-niyazana guzarni hai shab-e-gham kisi tarah ai dost na apni koi kahani na koi afsana na puchh mujh se kisi shai ki asl ai hamdam ki dekhta hun main aabaadiyon mein virana ajab itab-e-mashiyyat hai mujh pe ai 'ali' gada bana ke diya hai mizaj shahana