samajh sakte nahin jo tere mathe ki shikan saqi

samajh sakte nahin jo tere mathe ki shikan saqi
wo kya jaanen ki hai baada-kashi bhi ek fan saqi

nikal un ko subu-o-jam mein jo farq karte hain
tamiz-e-besh-o-kam hai aql ka diwana-pan saqi

takalluf bartaraf hum shauq ki masti se darte hain
yahi hai rahbar saqi yahi hai rahzan saqi

nazar aati hai sari kaenat-e-mai-kada raushan
ye kis ke saghar-e-rangin se phuti hai kiran saqi

haqiqat ek hai sab ki wo mabad ho ki mai-khana
banati aa rahi hain manzilen meri thakan saqi

utha le jam-o-mina khatm kar ye daur-e-mai-noshi
ki yaad aate hain mujh ko tishna-kaaman-e-watan saqi

pas-e-khum baith kar 'ehsan' ko kuchh soch lene de
chhida hai mai-kade mein qissa-e-dar-o-rasan saqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close