samar se puchh lo zauq-e-tarash kaisa hai wo dil jo tum ne kiya qash qash kaisa hai koi to saql gira hoga bahr-e-sakit mein wagarna phir ye dili irtiash kaisa hai na taziyat ki zarurat na fikr-e-ghamzadagan hanut jis ne bhi ki apni lash kaisa hai nuqush-e-maslak-o-minhaj hi bataenge wo khush-mizaj hai ya bad-qimash kaisa hai hawas-bhakhta jis se hain aasman-o-zamin bata wo saneha-e-dil-kharash kaisa hai wo ji raha tha duaon ke sakht narghe mein hisar-e-zat hua pash pash kaisa hai wajud us ka tha aaina-e-tilismati wo aks jis ne kiya raaz fash kaisa hai qimar-khana-e-dil mein khayal-e-rangin se jo shakhs khelta rahta tha tash kaisa hai kahin to wo bhi tumhaari tarah na ho 'rahi' batao jis ki hai tum ko talash kaisa hai