rahmat ban ke utri thi kyon zahmat ban gai beti mera jurm-e-gunah batla do puchhti rah gai beti badhti hui takrar jahez ki aur ghurbat ka bojh apne aap ko aag laga ke phir ek mar gai beti baghi na-farman bani aur kabhi kalank ka tika haq ki khatir jab bhi kisi usul pe ad gai beti ye ladki kamzor si ladki mariyam bhi hai zohra bhi rabiya-basri bani to phir waliyon se badh gai beti