samay se pahle bhale zindagi ki sham aae kisi tarah to udasi ka ghaw bhar jae hum ab udas nahin sar-ba-sar udasi hain hamein charagh nahin raushni kaha jae jo sher samjhe mujhe dad-wad deta rahe gale lagae jise gham samajh mein aa jae kisi ke hansne se raushan hui thi baad-e-saba koi udas hua to gulab murjhae ye ek dukh jo daba rah gaya hai aankhon mein wo ek misra jise sher kar nahin pae