sar-e-firaq bhi tark-e-ana nahin hoti

sar-e-firaq bhi tark-e-ana nahin hoti
ki tut jati hai diwar wa nahin hoti

mere alawa use khud se bhi mohabbat hai
aur aisa karne se wo bewafa nahin hoti

jab apne log mere tab hamein samajh aaya
ki maut sare dukhon ki dawa nahin hoti

ziyaada sochne se bachna chahiye 'mohan'
khayali zakhmon ki koi dawa nahin hoti


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close