sambhaale abr-e-karam tu sambhal bhi sakti hai

sambhaale abr-e-karam tu sambhal bhi sakti hai
ye dil ki shakh abhi phul-phal bhi sakti hai

bujhao maghribi aatish ki badh ke chingari
ki is se mashriqi tahzib jal bhi sakti hai

uruj zarf ki had se nikal na jae kahin
ye shai faraaz pe ja kar phisal bhi sakti hai

hum aaj zor mohabbat ka aazmaenge
suna hai rukh ye hawa ka badal bhi sakti hai

ye sard sard hawaen ye chandni ye firaq
tere liye ye tabiat machal bhi sakti hai

kisi pe marne se pahle mujhe na tha malum
ki aise jine ki hasrat nikal bhi sakti hai

qadam qadam pe ujalon ka ehtimam karo
ki chalte chalte kahin sham dhal bhi sakti hai

kamal-e-zabt ko mere mera khuda rakkhe
ye muflisi mere tukdon pe pal bhi sakti hai

khulus-e-mehr-o-wafa pyar aur mohabbat se
badal ke dekhiye duniya badal bhi sakti hai

hari-bhari si ruton mein ye dhal bhi sakti hai
khizan ki zard si rangat badal bhi sakti hai

adab ki shan banun aarzu ye hai 'zaryab'
magar ye kya meri hasrat nikal bhi sakti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close